Wahin Se Had Mili Hai Ja Pahunchta Ku-e-jaanan Tak
wahin se had mili hai ja pahunchta ku-e-jaanan tak
rasai saliko jab aql kar le hadd-e-imkan tak
junun mein dast-e-laghar ka hai qabza us bayaban tak
jahan sau manzilen paDti hain daman se gareban tak
mere dast-e-junun ka zor aur phir zor bhi kaisa
ki hamrah-e-gareban khinche lata hai rag-e-jaan tak
tumhein to khel tha nazren mila kar munh chhupa lena
yahan nashtar hazaron ruk gae aa kar rag-e-jaan tak
kafan mein koi dekhe aaj un hathon ki majburi
raha karte the gardish mein jo daman se gareban tak
(667) Peoples Rate This