PhaTa Hua Jo Gareban Dikhai Deta Hai
phaTa hua jo gareban dikhai deta hai
kisi ka dard numayan dikhai deta hai
nikalna chahta hun jism ke hisar se main
ki apna tan mujhe zindan dikhai deta hai
sara-e-dahr mein Thahra hua musafir hun
ajib be-sar-o-saman dikhai deta hai
tere labon ke tabassum ko kis se dun tashbih
ki ghuncha bhi to pareshan dikhai deta hai
har ek shaKHs kisi KHauf ki giraft mein hai
tamam shahr hirasan dikhai deta hai
jo ho sake to kabhi us ki ruh mein jhanko
qaba pahan ke jo uryan dikhai deta hai
maash aisi ki sunsan hain gali bazar
bhaTakta aisa ki insan dikhai deta hai
(863) Peoples Rate This