Jab Se Dariya Mein Hai Tughyani Bahut
jab se dariya mein hai tughyani bahut
par jaane mein hai aasani bahut
koi manzar bhi nahin achchha laga
ab ke aaankhon mein hai virani bahut
apni qimat to nahin lekin yahan
aise gauhar ki hai arzani bahut
khet hain banjar to sahra be-numu
warna dariyaon mein hai pani bahut
us ke chehre par meri aankhen sajin
mere chehre par thi hairani bahut
kya KHulus-o-mehr ki baaten karen
zindagi mein hai pashemani bahut
har kisi ko ilm hai 'abid-wadud'
baaten us ki jaani-pahchani bahut
(788) Peoples Rate This