Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7e7db67253d813f986892c2bdebbc48a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hath Mein Mahtab Ho Jaise - Abid Wadood Poetry In English - Darsaal

Hath Mein Mahtab Ho Jaise

hath mein mahtab ho jaise

khuli aaankhon mein KHwab ho jaise

mere ham-sae mein jo rahta hai

mujh sa KHana-KHarab ho jaise

chand nikla to is qarine se

ek hasin be-hijab ho jaise

ham-safar DhunDne ko nikla hun

mausam-e-intiKHab ho jaise

yun gunahon ki yaad aati hai

aaj yaum-e-hisab ho jaise

aankh muddat se tar nahin 'abid'

KHushk apna chanab ho jaise

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Mein Mahtab Ho Jaise In English By Famous Poet Abid Wadood. Hath Mein Mahtab Ho Jaise is written by Abid Wadood. Read famous Poem Hath Mein Mahtab Ho Jaise for youth and Student by Abid Wadood. Free Download Hath Mein Mahtab Ho Jaise in PDF.