Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_59ff4e936f3c6c6c8d97d4fca3606a09, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Andar Bhi Ham-nawai Nahin - Abid Wadood Poetry In English - Darsaal

Apne Andar Bhi Ham-nawai Nahin

apne andar bhi ham-nawai nahin

aql ki ruh tak rasai nahin

sauda-bazi agar na ho is mein

neki karne mein kuchh burai nahin

har ada se ada nikalti hai

itni aasan aashnai nahin

hum se qaem hai tere husn ki shan

ye meri jaan! KHud-satai nahin

kitna tanha hun dasht-e-ghurbat mein

mera bhai bhi mera bhai nahin

kisi unwan se kabhi 'abid'

zindagi hum ko ras aai nahin

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Andar Bhi Ham-nawai Nahin In English By Famous Poet Abid Wadood. Apne Andar Bhi Ham-nawai Nahin is written by Abid Wadood. Read famous Poem Apne Andar Bhi Ham-nawai Nahin for youth and Student by Abid Wadood. Free Download Apne Andar Bhi Ham-nawai Nahin in PDF.