Kaf-e-KHizan Pe Khila Main Is Etibar Ke Sath
kaf-e-KHizan pe khila main is e'tibar ke sath
ki har numu ka talluq nahin bahaar ke sath
wo ek KHamosh parinda shajar ke sath raha
chahakne wale gae baad-e-sazgar ke sath
khule daron se talabgar KHwab-gahen magar
main jagta raha ek KHwab-ham-kanar ke sath
kali khili hai sar-e-shaKH aur ye kahti hai
ki koi dekhe tamanna-e-KHush-gawar ke sath
wo mujh ko wo na laga dekhta sisakta hua
nigah-e-zard ke sath aur dil-e-figar ke sath
madar-e-waqt wo gunjaishen zara phir se
ki paD rahen kisi diwar-e-saya-dar ke sath
(1234) Peoples Rate This