Na Jaane Rabt-e-masarrat Hai Kis Qadar Gham Se

na jaane rabt-e-masarrat hai kis qadar gham se

KHabar KHushi ko mili bhi to chashm-e-pur-nam se

zaban kholiye KHalwat mein be-hijabana

chhupai jati hai kab dil ki baat mahram se

kisi ki yaad mein kya kya na hum pe bit gai

jahan ne di thi jo fursat zara hamein gham se

shuur-e-shana-kashi dekhiye unhen kab aae

mizaj-e-zist hai wabasta zulf-e-barham se

fareb-e-dost na khate to aur kya karte

yahi to rasm chali aa rahi hai aadam se

ye aaj kaun si taqsir ho gai 'nami'

ki dost bhi to milate nahin nazar hum se

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Rabt-e-masarrat Hai Kis Qadar Gham Se In English By Famous Poet Abid Nami. Na Jaane Rabt-e-masarrat Hai Kis Qadar Gham Se is written by Abid Nami. Read famous Poem Na Jaane Rabt-e-masarrat Hai Kis Qadar Gham Se for youth and Student by Abid Nami. Free Download Na Jaane Rabt-e-masarrat Hai Kis Qadar Gham Se in PDF.