Muqaddar Mein Sahil Kahan Hai Miyan
muqaddar mein sahil kahan hai miyan
meri naw be-baadban hai miyan
jo barq-e-tapan se munawwar rahe
wahi aashiyan aashiyan hai miyan
kahan jaiye mai-kada chhoD kar
yahi ek ja-e-aman hai miyan
abad tak mukammal na ho paegi
shab-e-gham ki ye dastan hai miyan
kahan paon rakkhun pareshan hun
zamin surat-e-asman hai miyan
muqaddas sahi karobar-e-wafa
magar is mein nuqsan-e-jaan hai miyan
ajab phiki phiki si hai chandni
udas aaj kyun chandraman hai miyan
jahan dil ke badle mein milta hai dil
wo duniya na jaane kahan hai miyan
nahin mujh se 'abid' wo kuchh KHas dur
faqat zindagi darmiyan hai miyan
(1537) Peoples Rate This