Chand Se Apni Yari Thi
chand se apni yari thi
zulmat bhi ujyali thi
chiKH thi dil ke gumbad mein
honTon par KHamoshi thi
ek anokha anubhau tha
ghaDi milan ki nyari thi
TuTi kashti patthar ret
samne sukhi naddi thi
din mein tare dekhe the
anhoni bhi honi thi
sahil par thi aag hi aag
dariya mein tughyani thi
hadd-e-nazar tak sahra tha
sar par dhup bala ki thi
lafz the sab payab magar
baat nihayat gahri thi
'abid' na-mumkin thi jit
waqt ki chaal hi aisi thi
(1344) Peoples Rate This