Be-tamanna Hun KHasta-jaan Hun Main
be-tamanna hun KHasta-jaan hun main
ek ujDa hua makan hun main
jang to ho rahi hai sarhad par
apne ghar mein lahuluhan hun main
gham-o-alam bhi hain mujh ko aziz
qadr-danon ka qadr-dan hun main
zabt tahzib hai mohabbat ki
wo samajhte hain be-zaban hun main
lab pe iKHlas hath mein KHanjar
kaise yaron ke darmiyan hun main
chhed hi chhed hain faqat jis mein
aisi kashti ka baadban hun main
jo kisi ko bhi aaj yaad nahin
bhuli-bisri wo dastan hun main
ya giran-gosh hai nagar ka nagar
ya kisi dasht mein azan hun main
shairi ho ki aashiqi 'abid'
har riwayat ka pasban hun main
(1193) Peoples Rate This