Aur Kis Ka Ghar Kushada Hai Kahan Thahregi Raat

aur kis ka ghar kushada hai kahan Thahregi raat

mujh ko hi mehman-nawazi ka sharaf baKHshegi raat

nind aaegi na un be-KHwab aankhon mein kabhi

mujh ko thapki dete dete aap so jaegi raat

sham hargiz din ke sine mein na KHanjar ghonpti

ye agar malum hota KHun-baha mangegi raat

aansuon se tar-ba-tar ho jaega aangan tamam

karb-e-tanhai pe apne phuT kar roegi raat

chand-taron ko chhupa bhi len ghane baadal agar

jhilmilate jugnuon se rasta puchhegi raat

apne apne lutf se donon nawazenge mujhe

zaKHm-e-dil baKHshega din us par namak chhiDkegi raat

suraj apne rath ko phir aakash par dauDaega

subh ka tara nikalte hi simaT jaegi raat

jab tere juDe ka gajra yaad aaega mujhe

raat-ki-rani ke phulon se mahak uThegi raat

ghar palaT kar jaunga ruKH par liye din-bhar ki dhul

mujh ko ai 'abid' baDi mushkil se pahchanegi raat

(1444) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Kis Ka Ghar Kushada Hai Kahan Thahregi Raat In English By Famous Poet Abid Munavari. Aur Kis Ka Ghar Kushada Hai Kahan Thahregi Raat is written by Abid Munavari. Read famous Poem Aur Kis Ka Ghar Kushada Hai Kahan Thahregi Raat for youth and Student by Abid Munavari. Free Download Aur Kis Ka Ghar Kushada Hai Kahan Thahregi Raat in PDF.