Agle PaDaw Par Yunhi KHema Lagaoge
agle paDaw par yunhi KHema lagaoge
jitni bhi hai safar ki thakan bhul jaoge
bahar hawa-e-tez lagae hue hai ghat
ghar se jo nikle ab ki palaT kar na aaoge
har shaKHs apne aap mein masruf hai yahan
kis ko fasana-e-dil-e-muztar sunaoge
tabinda-KHwab dekh kar aankhen khulengi jab
zulmat ke baghair yahan kuchh na paoge
ek dusre se ho ke alag KHush rahega kaun
taDpenge hum bhi KHud bhi tum aansu bahaoge
ja to rahe ho jins-e-wafa ki talash mein
sath apne yasiyat ke siwa kuchh na laoge
girdab samne hai muKHalif hawaen hain
kashti ko kaise jaanib-e-sahil ghumaoge
jis ko KHulus samjhe hue the wo kya hua
kitna yaqin tha tumhein dhoka na khaoge
parbat hain barf-posh qadam dekh-bhaal kar
'abid' phisal gae to sambhalne na paoge
(1167) Peoples Rate This