Shahr Se Jab Bhi Koi Shahr Juda Hota Hai

shahr se jab bhi koi shahr juda hota hai

har taraf naqshe pe kohram bapa hota hai

roz ek bagh guzarta hai isi raste se

roz kashkol mein ek phul dhara hota hai

zaKHm aur peD ne ek sath dua mangi hai

dekhiye pahle yahan kaun hara hota hai

ek duje ko kabhi jaan nahin pae hum

main naya hota hun ya KHwab naya hota hai

main suna aaya hun kal raat use apni katha

jaane ab yar ki diwar ka kya hota hai

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Se Jab Bhi Koi Shahr Juda Hota Hai In English By Famous Poet Abid Malik. Shahr Se Jab Bhi Koi Shahr Juda Hota Hai is written by Abid Malik. Read famous Poem Shahr Se Jab Bhi Koi Shahr Juda Hota Hai for youth and Student by Abid Malik. Free Download Shahr Se Jab Bhi Koi Shahr Juda Hota Hai in PDF.