AaKHiri Bar Zamane Ko Dikhaya Gaya Hun

aaKHiri bar zamane ko dikhaya gaya hun

aisa lagta hai ki main dar pe laya gaya hun

sab mujhe DhunDne nikle hain bujha kar aankhen

baat nikli hai ki main KHwab mein paya gaya hun

peD bhi zard hue jate hain mujh se mil kar

jaane main kaisi udasi se banaya gaya hun

rah takti hai kisi aur jagah KHush-KHabari

main magar aur hi raste se bulaya gaya hun

kitni mushkil se mujhe dhup ne sarsabz kiya

kitni aasani se barish mein jalaya gaya hun

(1461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Bar Zamane Ko Dikhaya Gaya Hun In English By Famous Poet Abid Malik. AaKHiri Bar Zamane Ko Dikhaya Gaya Hun is written by Abid Malik. Read famous Poem AaKHiri Bar Zamane Ko Dikhaya Gaya Hun for youth and Student by Abid Malik. Free Download AaKHiri Bar Zamane Ko Dikhaya Gaya Hun in PDF.