Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e3ec333668f519bf0425d29a2e3d1470, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jinhen Tha FaKHr Nawab-o-najib Hote Hain - Abid Kazmi Poetry In English - Darsaal

Jinhen Tha FaKHr Nawab-o-najib Hote Hain

jinhen tha faKHr nawab-o-najib hote hain

ab un ke ghar mein tamashe ajib hote hain

yazid-e-waqt ko jo barmala hi Tok sake

raqam wo nam hi zer-e-salib hote hain

wo jan ko tu ne baDa dil diya hai mere KHuda

to kyun ye hota hai aksar gharib hote hain

jo log mazhab-o-maslak ki had se upar hain

hamare dil ke wo yaksar qarib hote hain

duaon mein jinhen man bap yaad hi na rakhen

amir-e-waqt hon lekin gharib hote hain

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jinhen Tha FaKHr Nawab-o-najib Hote Hain In English By Famous Poet Abid Kazmi. Jinhen Tha FaKHr Nawab-o-najib Hote Hain is written by Abid Kazmi. Read famous Poem Jinhen Tha FaKHr Nawab-o-najib Hote Hain for youth and Student by Abid Kazmi. Free Download Jinhen Tha FaKHr Nawab-o-najib Hote Hain in PDF.