Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e36ce32856e0b1a711edf9d359678251, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zard Mausam Ki Hawaon Mein KhaDa Hun Main Bhi - Abid Karhani Poetry In English - Darsaal

Zard Mausam Ki Hawaon Mein KhaDa Hun Main Bhi

zard mausam ki hawaon mein khaDa hun main bhi

aur is soch mein gum hun ki hara hun main bhi

sun ke har shaKHs kuchh is tarah guzar jata hai

jaise girte hue patton ki sada hun main bhi

meri aawaz-e-shikasta ki sataish na karo

apni aawaz ki lahron mein chhupa hun main bhi

tujh ko taKHliq kiya main ne ki mujh ko tu ne

kaun KHaliq hai yahi soch raha hun main bhi

wo jo tufan-e-KHudi le ke baDa hai 'abid'

us ko malum nahin koh-e-ana hun main bhi

(1540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zard Mausam Ki Hawaon Mein KhaDa Hun Main Bhi In English By Famous Poet Abid Karhani. Zard Mausam Ki Hawaon Mein KhaDa Hun Main Bhi is written by Abid Karhani. Read famous Poem Zard Mausam Ki Hawaon Mein KhaDa Hun Main Bhi for youth and Student by Abid Karhani. Free Download Zard Mausam Ki Hawaon Mein KhaDa Hun Main Bhi in PDF.