Aalam-e-KHwab Sahi KHwab Mein Chalte Rahiye
aalam-e-KHwab sahi KHwab mein chalte rahiye
raat kaT jaegi karwaT to badalte rahiye
kis ko malum kahan se koi patthar aa jae
hausla ho to andheron mein nikalte rahiye
ban hi jaega kabhi koi KHudi ka paikar
apne ehsas ki garmi se pighalte rahiye
zindagi silsila-e-KHwab-e-tamanna hai koi
raat bhar KHwab ko KHwabon se badalte rahiye
hum pe kya hoga zamane ki hawaon ka asar
aap mausam ki tarah roz badalte rahiye
zindagi kya hai sarabon ka safar hai 'abid'
waqt ki ret pe din raat machalte rahiye
(1094) Peoples Rate This