Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_be12c329975cdc7989c8876329701bd8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamin Se Chal Ke To Pahuncha Hun Aasman Tak Main - Abid Hashri Poetry In English - Darsaal

Zamin Se Chal Ke To Pahuncha Hun Aasman Tak Main

zamin se chal ke to pahuncha hun aasman tak main

safar ka bojh uThae phirun kahan tak main

azal wajud safar raste ki dhund adam

qusur-war hun tartib-e-dastan tak main

sukun-e-zist ibarat tha jis ki yaadon se

bhula chuka hun wo harf-e-qarar-e-jaan tak main

ye soch kar na koi raste mein luT jae

diye jalata chala ku-e-dilbaran tak main

main zindagi ki inayat se nahin mahrum

qarib hun gham-e-dil se gham-e-jahan tak main

na farsh mera Thikana na arsh mera maqam

ye aur baat zamin par hun aasman tak main

(1188) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Chal Ke To Pahuncha Hun Aasman Tak Main In English By Famous Poet Abid Hashri. Zamin Se Chal Ke To Pahuncha Hun Aasman Tak Main is written by Abid Hashri. Read famous Poem Zamin Se Chal Ke To Pahuncha Hun Aasman Tak Main for youth and Student by Abid Hashri. Free Download Zamin Se Chal Ke To Pahuncha Hun Aasman Tak Main in PDF.