Na Karb-e-hijr Na Kaiffiyat-e-visal Mein Hun
na karb-e-hijr na kaiffiyat-e-visal mein hun
mujhe na chheDiye ab main ajib haal mein hun
tamam rang-e-ibarat mein soz-e-jaan se mere
main husn-e-zat hun aur manzil-e-jamal mein hun
mera wajud zarurat hai har zamane ki
main raushni ki tarah zehn-e-mah-o-sal mein hun
abhi wasil-e-izhaar DhunDhti hai nigah
abhi sawal kahan hasrat-e-sawal mein hun
mujhe na dekh meri zat se alag kar ke
main jo bhi kuchh hun faqat apne KHadd-o-KHal mein hun
main ji raha hun ye mera kamal hai 'hashri'
main apne ahd ki tahzib ke zawal mein hun
(1147) Peoples Rate This