Raat
fasurda raat sitaron ke qafilon ko liye
KHamosh rahon ki KHwabida mastiyon ko salam
na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se
tamam dahr pe saya-fagan ye raat jise
kiya hai main ne muqaddar KHayal-e-ghamgin ka
ek ek ashk se rah rah ke jis ko dhoya hai
udas udas surile surile naghmon se
ek ek naqsh sanwara hai jis ke chehre ka
kabhi jo lamha tasawwur se chhu gaya koi
gham-e-KHayal bana kar samo diya jis mein
jo apne sath sitaron ke qafilon ko liye
na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se
ye aagahi ka koi KHwab hi na ho warna
nazar pukar uThegi ki ahl-e-fikr-o-KHayal
tamam soch isi raat ka andhera hai
(1161) Peoples Rate This