Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_57a87bc82f34e56c41b682d112cfd223, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajnabi - Abid Almi Poetry In English - Darsaal

Ajnabi

waqt ki jadugari ek sal mein

har gali har moD mere shahr ka

puchhta hai mujh se sahab kaun ho

jis ko apna ghar kaha karta tha main

jis ki virani se dil manus tha

aaj us ki ek ek diwar se

ye sada aati hai sahab kaun ho

kya yahi gosha hai wo jis mein meri

sar-ba-zanu an-ginat raaten kaTin

jis se apna gham kaha karta tha main

jis mein mere dil ko milta tha sukun

aaj kyun us ki murawwat mar gai

dosto aisa bhi kya is sal mein

is qadar KHud ko bhula baiThe ho tum

main wahi hun ghaur se dekho zara

main jise tum ne hazaron gham diye

jis ke honTon ka tabassum aaj bhi

tum se kahta hai mujhe pahchan lo

(1208) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajnabi In English By Famous Poet Abid Almi. Ajnabi is written by Abid Almi. Read famous Poem Ajnabi for youth and Student by Abid Almi. Free Download Ajnabi in PDF.