Wo Jo Har Rah Ke Har MoD Par Mil Jata Hai

wo jo har rah ke har moD par mil jata hai

ab ke puchhenge ki us shaKHs ka qissa kya hai

main wo patthar hun nahin jis ko mila sang-tarash

main ne har shakl ko apne mein samo rakkha hai

yunhi chup-chap bhala baiThe rahoge kab tak

koi darwaza kahin yun bhi khula karta hai

jab bhi girti hai kisi kuche mein koi diwar

mujh ko lagta hai koi shaKHs bahut roya hai

panw jalte hain yahan jism bhi jal jaega

tum ne kiya soch ke sahra mein qadam rakha hai

TuTte bante hi ye umr guzar jaegi

meri har shakl mein ek naqs ubhar aata hai

hum ne har daur ke sine mein hain ghonpe KHanjar

aur har daur ke sine se lahu Tapka hai

tum ne puchha hai ki tum kya ho kahan ho kyun ho

ye to batlao ki is soch mein kya rakkha hai

dasht ke peDon se kya puchh rahe ho 'abid'

bhul jao ki tumhein koi sada deta hai

(1154) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Har Rah Ke Har MoD Par Mil Jata Hai In English By Famous Poet Abid Almi. Wo Jo Har Rah Ke Har MoD Par Mil Jata Hai is written by Abid Almi. Read famous Poem Wo Jo Har Rah Ke Har MoD Par Mil Jata Hai for youth and Student by Abid Almi. Free Download Wo Jo Har Rah Ke Har MoD Par Mil Jata Hai in PDF.