Wo Ek Nigah Jo KHamosh Si Hai Barson Se
wo ek nigah jo KHamosh si hai barson se
ye kaun jaane wo kya kah rahi hai barson se
hamare chehron pe ab apna-pan nahin ugta
ye wo zamin hai jo banjar paDi hai barson se
badan ka sara lahu mangta hai wo ek lafz
nigah zehn ki jis par Tiki hai barson se
kahan se laun wo taswir jo bani hi nahin
nazar mein gard uDe ja rahi hai barson se
meri nigah mein din hai mere badan mein hai raat
meri kitab adhuri paDi hai barson se
samundaron mein kabhi baadalon ke KHemon mein
ek aag mujh ko liye phir rahi hai barson se
kahan kahan liye phirti hai raat ko 'abid'
wo ek sada jo mujhe DhunDhti hai barson se
(1095) Peoples Rate This