Kisi Maqam Pe Hum Ko Bhi Rokta Koi

kisi maqam pe hum ko bhi rokta koi

magar uDae liye jati hai hawa koi

tamam-umr na mujh ko mila wajud mera

tamam-umr mujhe sochta raha koi

mujhe sameT lo ya phir uDa ke le jao

ye kah ke rah-e-talab mein bikhar gaya koi

yunhi sadaen na do KHamushi ke sahra mein

hawa chalegi to aa jaegi sada koi

kisi ko apni nigahon pe eatibar na tha

hamein hamari tarah kaise dekhta koi

hazar sang hain rahon mein ab bhi soe hue

ye aur baat hai hum ko jaga gaya koi

badan ke dasht ko hum jis se par kar lete

kahin mila na hamein aisa rasta koi

main band kamre mein KHamosh rah to sakta hun

mere badan mein agar ghuT ke mar gaya koi

(1210) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Maqam Pe Hum Ko Bhi Rokta Koi In English By Famous Poet Abid Almi. Kisi Maqam Pe Hum Ko Bhi Rokta Koi is written by Abid Almi. Read famous Poem Kisi Maqam Pe Hum Ko Bhi Rokta Koi for youth and Student by Abid Almi. Free Download Kisi Maqam Pe Hum Ko Bhi Rokta Koi in PDF.