Jo ShaKHs Tujhko Farishta Dikhai Deta Hai
jo shaKHs tujh ko farishta dikhai deta hai
wo aaine se Dara sa dikhai deta hai
kiya tha dafn jise farsh ke tale kal raat
wo aaj chhat se utarta dikhai deta hai
teri nigah mein mumkin hai kuchh aTak jae
mujhe to sirf andhera dikhai deta hai
sawal zehn mein chubhte hain nashtaron ki tarah
ye KHun bhi mujhe hota dikhai deta hai
KHala mein Dub chuki hai nigah jab meri
wo puchhte hain tujhe kya dikhai deta hai
nigalta jata hai chup-chap KHushk jangal use
ye aaftab to ThanDa dikhai deta hai
naqab badlo kuchh aise ki moajiza ho jae
hujum warna bikharta dikhai deta hai
tumhaari yaad ke dariya tamam sukh chale
jahan-tahan mujhe sahra dikhai deta hai
sadaen gunjti rahti hain raat-bhar kis ki
makan waise to suna dikhai deta hai
jo peD tum ne lagaya tha mere aangan mein
wo is baras mujhe girta dikhai deta hai
(1139) Peoples Rate This