Jab Se Alfaz Ke Jangal Mein Ghira Hai Koi
jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi
puchhta phirta hai meri bhi sada hai koi
rah ki dhul mein Duba hua aa pahunchega
apne mazi ka pata lene gaya hai koi
raat ke sae mein ek ujDe hue aangan mein
be-sada ThunTH ke manind khaDa hai koi
jab bhi ghabra ke tujhe deta hun ek aadh sada
log kahte hain ki is ghar mein bala hai koi
main wo chiTThi hun miTa jata hai jis ka har harf
paDh ke ek bar mujhe bhul gaya hai koi
aasman raat daraKHton ke qarib aaya tha
puchhta phirta tha kya un mein chhupa hai koi
tum yunhi waqt ganwane pe tule ho 'abid'
kabhi pani pe bhala naqsh bana hai koi
(1177) Peoples Rate This