SurKH Sahar Se Hai To Bas Itna Sa Gila Hum Logon Ka

surKH sahar se hai to bas itna sa gila hum logon ka

hijr charaghon mein phir shab bhar KHun jala hum logon ka

hum wahshi the wahshat mein bhi ghar se kabhi bahar na rahe

jangal jangal phir bhi kitna nam hua hum logon ka

aur to kuchh nuqsan hua ho KHwab mein yaad nahin hai magar

ek sitara zarb-e-sahar se TuT gaya hum logon ka

ye jo hum taKHliq-e-jahan-e-nau mein lage hain pagal hain

dur se hum ko dekhne wale hath baTa hum logon ka

bigDe the bigDe hi rahe aur umr guzari masti mein

duniya duniya karne se jab kuchh na bana hum logon ka

KHak ki shohrat dekh ke hum bhi KHak hue the pal bhar ko

phir to taaqub karti rahi ek umr hawa hum logon ka

shab bhar ek aawaz banai subh hui to chiKH paDe

roz ka ek mamul hai ab to KHwab-zada hum logon ka

(1313) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SurKH Sahar Se Hai To Bas Itna Sa Gila Hum Logon Ka In English By Famous Poet Abhishek Shukla. SurKH Sahar Se Hai To Bas Itna Sa Gila Hum Logon Ka is written by Abhishek Shukla. Read famous Poem SurKH Sahar Se Hai To Bas Itna Sa Gila Hum Logon Ka for youth and Student by Abhishek Shukla. Free Download SurKH Sahar Se Hai To Bas Itna Sa Gila Hum Logon Ka in PDF.