Safar Ke Baad Bhi Zauq-e-safar Na Rah Jae
safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae
KHayal-o-KHwab mein ab ke bhi ghar na rah jae
main sochta hun bahut zindagi ke bare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jae
bas ek KHauf mein hoti hai har sahar meri
nishan-e-KHwab kahin aankh par na rah jae
ye be-hisi to meri zid thi mere ajza se
ki mujh mein apne taaqub ka Dar na rah jae
hawa-e-sham tera raqs na-guzir sahi
ye meri KHak tere jism par na rah jae
usi ki shakl liya chahti hai KHak meri
so shahr-e-jaan mein koi kuza-gar na rah jae
guzar gaya ho agar qafila to dekh aao
pas-e-ghubar kisi ki nazar na rah jae
main ek or khaDa hun hisar-e-duniya ke
wo jis ki zid mein khaDa hun udhar na rah jae
(1824) Peoples Rate This