Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5bf498d7a8ff8273adfc2fa961e4f4b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lahr Ka KHwab Ho Ke Dekhte Hain - Abhishek Shukla Poetry In English - Darsaal

Lahr Ka KHwab Ho Ke Dekhte Hain

lahr ka KHwab ho ke dekhte hain

chal tah-e-ab ho ke dekhte hain

us pe itna yaqin hai hum ko

us ko betab ho ke dekhte hain

raat ko raat ho ke jaana tha

KHwab ko KHwab ho ke dekhte hain

apni arzaniyon ke sadqe hum

KHud ko nayab ho ke dekhte hain

sahilon ki nazar mein aana hai

phir to gharqab ho ke dekhte hain

wo jo payab kah raha tha hamein

us ko sailab ho ke dekhte hain

(1373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahr Ka KHwab Ho Ke Dekhte Hain In English By Famous Poet Abhishek Shukla. Lahr Ka KHwab Ho Ke Dekhte Hain is written by Abhishek Shukla. Read famous Poem Lahr Ka KHwab Ho Ke Dekhte Hain for youth and Student by Abhishek Shukla. Free Download Lahr Ka KHwab Ho Ke Dekhte Hain in PDF.