Hum Aise Soe Bhi Kab The Hamein Jaga Late

hum aise soe bhi kab the hamein jaga late

kuchh ek KHwab to shab-KHun se bacha late

ziyan to donon tarah se hai apni miTTi ka

hum aab late ki apne liye hawa late

pata jo hota ki niklega chand jaisa kuchh

hum apne sath sitaron ko bhi uTha late

hamein yaqin nahin tha KHud apni rangat par

hum is zamin ki hatheli pe rang kya late

bas aur kuchh bhi nahin chahta tha main tum se

zara si chiz thi duniya kahin chhupa late

hamare azm ki shiddat agar samajhni thi

to is safar mein koi saKHt marhala late

(1394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aise Soe Bhi Kab The Hamein Jaga Late In English By Famous Poet Abhishek Shukla. Hum Aise Soe Bhi Kab The Hamein Jaga Late is written by Abhishek Shukla. Read famous Poem Hum Aise Soe Bhi Kab The Hamein Jaga Late for youth and Student by Abhishek Shukla. Free Download Hum Aise Soe Bhi Kab The Hamein Jaga Late in PDF.