Fasil-e-jism Gira De Makan-e-jaan Se Nikal
fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal
ye intishaar-zada shahr hai yahan se nikal
teri talash mein phirte hain aaftab kai
so ab ye farz hai tujh par ki saeban se nikal
tamam shahr pe ek KHamushi musallat hai
ab aisa kar ki kisi din meri zaban se nikal
maqam-e-wasl to arz-o-sama ke bich mein hai
main is zamin se niklun tu aasman se nikal
main apni zat mein tarikiyan sameTe hon
tu ek charagh jala aur ab yahan se nikal
kaha tha mujh se bhi ek din hawa-e-sahra ne
meri panah mein aa ja ghubar-e-jaan se nikal
(1699) Peoples Rate This