Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d3d874950064ddde535d283b08777bd7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain - Abeer AbuZari Poetry In English - Darsaal

Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain

sitaron se aage jahan aur bhi hain

pare se pare se paran aur bhi hain

abhi to tujhe ek phenTi lagi hai

abhi to tere imtihan aur bhi hain

wo ek nar hi to jalati nahin hai

mohalle mein chingariyan aur bhi hain

wo khiDki nahin kholte to na kholen

nazar mein mere bariyan aur bhi hain

ye shia ye sunni hai hanafi wahabi

alawa azin firqiyan aur bhi hain

smuggling ki sugar stocking ka cancer

waDeron ko bimariyan aur bhi hain

yahan sirf thane hi bikte nahin hain

yahan par kai aise than aur bhi hain

wo kahte hain insaf sasta milega

to sabit hua peshiyan aur bhi hain

hua tel ka hi nahin mol dugna

bahut qimatan aisiyan aur bhi hain

'abira' tujhe wo bhi sahni paDengi

muqaddar mein jo saKHtiyan aur bhi hain

(1105) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain In English By Famous Poet Abeer AbuZari. Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain is written by Abeer AbuZari. Read famous Poem Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain for youth and Student by Abeer AbuZari. Free Download Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain in PDF.