Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_728377075d165db26773f39864d65a75, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jafa Ke Zikr Pe Wo Bad-hawas Kaisa Hai - Abdussamad ’Tapish’ Poetry In English - Darsaal

Jafa Ke Zikr Pe Wo Bad-hawas Kaisa Hai

jafa ke zikr pe wo bad-hawas kaisa hai

zara si baat thi lekin udas kaisa hai

na jaane kaun fazaon mein zahr ghol gaya

hara-bhara sa shajar be-libas kaisa hai

meri tarah se na haq baat tum kaho dekho

bala ka saya mere aas-pas kaisa hai

ye faisla hai ki hum apne haq se baz aaen

to phir ye lahja ye tira, iltimas kaisa hai

wahi jo shahr ke logon mein tha bahut bad-nam

wahi to aaj sarapa sipas kaisa hai

main kya kahun ki main kyun dil se ho gaya majbur

tum hi batao ki wo KHush-libas kaisa hai

(1246) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jafa Ke Zikr Pe Wo Bad-hawas Kaisa Hai In English By Famous Poet Abdussamad ’Tapish’. Jafa Ke Zikr Pe Wo Bad-hawas Kaisa Hai is written by Abdussamad ’Tapish’. Read famous Poem Jafa Ke Zikr Pe Wo Bad-hawas Kaisa Hai for youth and Student by Abdussamad ’Tapish’. Free Download Jafa Ke Zikr Pe Wo Bad-hawas Kaisa Hai in PDF.