Ek Bhi Chain Ka Bistar Nahin Hone Deta
ek bhi chain ka bistar nahin hone deta
mere ghar ko wo mera ghar nahin hone deta
nit-naya ek shagufa wo dikhata hai mujhe
zulm ki had wo muqarrar nahin hone deta
sab ko dikhlata hai wo chhoTa bana kar mujh ko
mujh ko wo mere barabar nahin hone deta
kaisi sazish hai ye us ki zara main bhi dekhun
kyun mujhe wo sar-e-manzar nahin hone deta
KHauf kaisa hai ye shahin ke qabile mein 'tapish'
kyun mamlun mein koi par nahin hone deta
(1032) Peoples Rate This