Aankh Thi Suji Hui Aur Raat Bhar Soya Na Tha
aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha
is tarah wo TuT kar shayad kabhi roya na tha
un ke shauq-e-did mein tha is qadar khoya hua
main bhari mahfil mein tha aisa ki main goya na tha
imtihan zauq-e-safar ka tha to suraj sar pe tha
dhup thi diwar thi lekin kahin saya na tha
wo baDa tha phir bhi wo is qadar be-faiz tha
us ghanere peD mein jaise koi saya na tha
shahrah par KHun mein ek lash thi luthDi hui
aae din ka hadsa tha is liye charcha na tha
har nigah pyasi thi lekin waqt ki tahwil mein
ek sarab-asa zamin thi dur tak dariya na tha
(1727) Peoples Rate This