Mez Qalam Qirtas Daricha SannaTa
mez qalam qirtas daricha sannaTa
kamra khiDki zard ujala sannaTa
meri aankhon mein dhundlai gahri chup
aur chehre par utra pila sannaTa
meri aankhon mein likkhi tahrir paDho
hijr tamanna wahshat sahra sannaTa
gunj uThi hai mere andar KHamoshi
nas nas mein ghuT ghuT kar bahta sannaTa
us ke sath chali aati thin qilqaren
us ke baad hua hai kitna sannaTa
pahle meri zat mein tha maujud koi
ab hai meri zat ka hissa sannaTa
jhag uDate dariya ke hangame par
naqsh hua dil par afsurda sannaTa
main ne ghanTon is ummid pe chup sadhi
shayad ki wo toD hi dega sannaTa
mil kar bain karen sab meri hijrat par
chand udasi jhil kinara sannaTa
(1342) Peoples Rate This