Mazid Kuchh Nahin Bola Main Ho Gaya KHamosh

mazid kuchh nahin bola main ho gaya KHamosh

is ehtimam se us ne mujhe kaha KHamosh

ab aise haal mein kya KHak guftugu hogi

ki ek soch mein gum hai to dusra KHamosh

so yun hua ki laga qufl nutq-o-lab pe mere

main tum se mil ke bahut der tak raha KHamosh

jab ehtimam se raunda gaya wajud mera

to samne wo khaDa tha gurez-pa KHamosh

main jaanta hun meri sar-kashidgi ka sabab

so mujh se baat na kar mere naseha KHamosh

samaaton mein nai gunj kis ne rakkhi hai

ki har taraf se uThi ek hi sada KHamosh

main ek dasht-e-tamanna mein nim zinda hun

hawas-baKHta ghayal barahna-pa KHamosh

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazid Kuchh Nahin Bola Main Ho Gaya KHamosh In English By Famous Poet Abdurrahman Wasif. Mazid Kuchh Nahin Bola Main Ho Gaya KHamosh is written by Abdurrahman Wasif. Read famous Poem Mazid Kuchh Nahin Bola Main Ho Gaya KHamosh for youth and Student by Abdurrahman Wasif. Free Download Mazid Kuchh Nahin Bola Main Ho Gaya KHamosh in PDF.