Chup
raat ki kali barish ne
chehron ki wardi
kichaD se bhar di hai
mere sine ke pinjre mein
KHun ka gardish karne wala laTTu
nafrat ke paudon ke upar
ghum raha hai
tum ne aise kanTe
meri shiryanon mein boe hain
aisi dopahron ki zardi
mere galon pe lipi hai
ki main bistar ki shiknon mein
apni aankhen bo kar rota hun
pahli bar jab gham ki putli qash ko
chehre se nocha tha
jab ghurbat ke auraq
hawa mein uDte the
jab KHali meade ki taswir bana kar
us mein chizen rakhta tha
phaTe hue kapDon mein jab
taswir chhupa kar rakhta tha
meri shahwat
kunwar pane ki dahlizon par
apna KHutba likhti thi
bis baras un galiyon ki diwaron se
Takra Takra kar
mere kandhe ret ke pushte ban kar
Dhete jate hain
main jo teri ranon ke jangal mein
kale phul ko toDne nikla tha
ab dekh raha hun
dil ki kori miTTi mein
tere jism ki patli shaKHen ugi hui thin
aur ek aawara sannaTa
chhaton par bhaari qadmon se
baDi aahistagi ke sath chalta hai
to wo chupke se mere pas aati hai
aur apne dhime lahje mein
wo sari dastanen kah sunati hai
jinhen sun kar main dhimi aanch par
pahron sulagta hun
kisi girje ke viran lawn mein
jab january
apne sunahri gesuon ko khol kar
koi purana git gati hai
to wo ek an-chhui nan ki tarah
patthar ke benchon par
mere kandhe par sar rakhe
mere chehre pe apni ungliyon mein
kabhi jab sham roti hai
siyah kafi ke pyalon se
lapakti bhap mein
phir aandhi ki aamad se aisi gard hui
aisa habs meri sanson mein phaila
tere jism ki kashti mein
main apne kapDe bhul aaya
par tum ne aadhi raat ko aisi chuTki li
nind ki Dholak
ghuTnon ki zarbon se chaknachur hui
ab munh se shira bahta hai
un zaKHmon ka
jin ke Tanke andar hi andar TuTe hain
bijli ki taron ke upar
kawwe qatar mein baiThe hain
barish ke pani mein jin ke
askari bazu hilte hain
ranon ki ye nili wariden
jin mein dua ka naqshi kuza
ulaT gaya hai
main ne un galiyon mein
apne marne ki afwah suni hai
KHush-ilhan moazzin ki
aawaz se chiDiyan uDti hain
ai raston ki radha
tere wasl ki KHatir
jism ke niji hisse dho kar
lauT ke phir main aaya hun
mere badan pe
sabr ke nile dhabbe hain
pusht pe
ham-jinsi ke aansu hain
nim ke peD ke DanThal hain
jo meri kamar mein boe hain
kachnar ke sukhe patte hain
main jin ko paka kar khata hun
chaar dahaiyon se main gande
parnale ke niche istada hun
samajh raha hun
chup ki barish ka ye maila pani hai
ye pani jo sine ke baalon se gir kar
foton ko tar karta hai
Dol mein bhar kar
shor aalud zamin par
girta jata hai
meri chup ne
raston ko pamal kiya hai
meri chup ne sanp ki kunDli mein se
zahr nichoDa hai
mujh ko apne kandhon ke
zerin hisson ke hamle se
be-quwwat kar Dala hai
(1368) Peoples Rate This