Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bec6fa52626100347a88f88042f4a8eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo So Raha Hai KHuda Dur Aasmanon Mein - Abdur Rahim Nashtar Poetry In English - Darsaal

Wo So Raha Hai KHuda Dur Aasmanon Mein

wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein

farishte loriyan gate hain us ke kanon mein

zamin pe girte hain kaT kaT ke sar farishton ke

ajib zalzala aaya hai aasmanon mein

saDak pe aa gae sab log bilbilate hue

na jaane kaun makin aa gae makanon mein

phaTe purane badan se kise KHarid sakun

saje hain kanch ke paikar baDi dukanon mein

wahin pighal ke na rah jae mera sang-e-sada

ki zard zahr ka parda hai is ke kanon mein

nikal ke zard charaghon se zahr ka aaseb

pahunch gaya hai mere ghar meri dukanon mein

(1333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo So Raha Hai KHuda Dur Aasmanon Mein In English By Famous Poet Abdur Rahim Nashtar. Wo So Raha Hai KHuda Dur Aasmanon Mein is written by Abdur Rahim Nashtar. Read famous Poem Wo So Raha Hai KHuda Dur Aasmanon Mein for youth and Student by Abdur Rahim Nashtar. Free Download Wo So Raha Hai KHuda Dur Aasmanon Mein in PDF.