Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c0d7e4f28ab3ca8d881de9a9769301b3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Teri Chah Mein JhuTa Hawas Mein Sachcha Hun - Abdur Rahim Nashtar Poetry In English - Darsaal

Main Teri Chah Mein JhuTa Hawas Mein Sachcha Hun

main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun

bura samajh le magar dusron se achchha hun

main apne aap ko jachta hun be-hisab magar

na jaane teri nigahon main kaisa lagta hon

bichha raha hun kai jal ird-gard tere

tujhe jakaDne ki KHwahish mein kab se baiTha hon

tu barf hai to pighal jaega tamazat se

tu aag hai to main jhonka tujhe hawa ka hun

bikhar bhi jae to mujh se na bach sakega kabhi

tujhe sameT ke lafzon mein bandh sakta hon

main yun bhi hun mujhe malum hi na tha 'nashtar'

samajh raha tha bahut nek hun farishta hun

(1143) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Main Teri Chah Mein JhuTa Hawas Mein Sachcha Hun In English By Famous Poet Abdur Rahim Nashtar. Main Teri Chah Mein JhuTa Hawas Mein Sachcha Hun is written by Abdur Rahim Nashtar. Read famous Poem Main Teri Chah Mein JhuTa Hawas Mein Sachcha Hun for youth and Student by Abdur Rahim Nashtar. Free Download Main Teri Chah Mein JhuTa Hawas Mein Sachcha Hun in PDF.