Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8f2a1a50aa407a9e2da2cf343d569f08, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ChaTTan Ke Saye Mein KhaDa Soch Raha Hun - Abdur Rahim Nashtar Poetry In English - Darsaal

ChaTTan Ke Saye Mein KhaDa Soch Raha Hun

chaTTan ke saye mein khaDa soch raha hun

main aab-e-rawan kis ke liye Thahr gaya hun

pani mein chamakta hai koi mehrban saya

shaffaf samundar hon use chum raha hun

patthar ne pukara tha main aawaz ki dhun mein

maujon ki tarah chaaron taraf phail gaya hun

ek sip to le aaya tha pani mein utar kar

mana ki use ret pe ab phenk chuka hun

sahra-e-hawas apni taraf khinch raha hai

main andhe samundar ki taraf dekh raha hun

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChaTTan Ke Saye Mein KhaDa Soch Raha Hun In English By Famous Poet Abdur Rahim Nashtar. ChaTTan Ke Saye Mein KhaDa Soch Raha Hun is written by Abdur Rahim Nashtar. Read famous Poem ChaTTan Ke Saye Mein KhaDa Soch Raha Hun for youth and Student by Abdur Rahim Nashtar. Free Download ChaTTan Ke Saye Mein KhaDa Soch Raha Hun in PDF.