Mizhgan Ne Roka Aankhon Mein Dam Intizar Se
mizhgan ne roka aankhon mein dam intizar se
uljhe hain KHar daman-e-baad-e-bahaar se
matlab KHizan se hai na gharaz hai bahaar se
hum dil uTha chuke chaman-e-rozgar se
ye gul khila na lala-ruKHon ke firaq mein
hum dagh le chale chaman-e-rozgar se
bismil jo hain to hum hain taDapte jo hain to hum
wo KHush hain said-gah mein sair-e-shikar se
aaghaz-e-ishq hai wo baDhate hain rasm-o-rah
hum dil mein KHauf karte hain anjam-e-kar se
un ko hua jo nashsha-e-mai meri ban paDi
parda khula na daman-e-mauj-e-KHumar se
kalkatta se bhi kijiye hasil koi to ilm
sikhenge sehr-e-samri hum chashm-e-yar se
ai 'mehr' ye ghazal wo pur-ejaz-o-garm hai
'atish' agar sune nikal aae mazar se
(1267) Peoples Rate This