Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd9b36342a58e375623026e320426406, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Achchha Hai Koi Tir-ba-nashtar Bhi Le Chalo - Abdullateef Shauq Poetry In English - Darsaal

Achchha Hai Koi Tir-ba-nashtar Bhi Le Chalo

achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar bhi le chalo

sab ja rahe gulab se chehre liye hue

tum aainon ke shahr mein patthar bhi le chalo

yun kam nahin hai shirin-bayani hi aap ki

chaho to aastin mein KHanjar bhi le chalo

mujh ko kisi yazid ki baiat nahin qubul

neze ye rakkho aao mera sar bhi le chalo

kya jaane kaise KHwab sajaane paDen ai 'shauq'

aankho mein ek hasin sa manzar bhi le chalo

(1200) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchha Hai Koi Tir-ba-nashtar Bhi Le Chalo In English By Famous Poet Abdullateef Shauq. Achchha Hai Koi Tir-ba-nashtar Bhi Le Chalo is written by Abdullateef Shauq. Read famous Poem Achchha Hai Koi Tir-ba-nashtar Bhi Le Chalo for youth and Student by Abdullateef Shauq. Free Download Achchha Hai Koi Tir-ba-nashtar Bhi Le Chalo in PDF.