KHush-shanasi Ka Sila Karb Ka Sahra Hun Main
KHush-shanasi ka sila karb ka sahra hun main
kaun pahchane ki ek dasht-e-tamanna hun main
sard pani ki zaban chaTti rahti hai mujhe
kohar mein Duba hua koi jazira hun main
apni viran si aankhon ko saja lo mujh se
phir na hath aaunga uDta hun sapna hun main
bhul jaoge mujhe tum bhi sahar hone tak
aaKHir-e-shab ka koi TuTta lamha hun main
TuTa-phuTa hi sahi phir bhi kashish rakhta hun
mujh se mahzuz to ho lo ki khilauna hun main
ek dushnam hai ye tarz-e-taaruf mujh ko
yaro is shahr ka derina shanasa hun main
(1408) Peoples Rate This