Uski Jam-e-jam Aankhen Shisha-e-badan Mera
us ki jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera
us ki band muTThi mein sara bankpan mera
main ne apne chehre par sab hunar sajae the
fash kar gaya mujh ko sada pairahan mera
dil bhi kho gaya shayad shahr ke sarabon mein
ab meri tarah se hai dard be-watan mera
ek dasht-e-KHamoshi ab mera muqaddar hai
yaad be-sada teri zaKHm be-chaman mera
aao aaj hum donon apna apna ghar chun len
tum nawah-e-dil le lo KHitta-e-badan mera
roz apne KHwabon ka KHun karta rahta hun
hae kin ghanimon se aa paDa hai ran mera
ganw ki hawaon ne phir sandesa bheja hai
muntazir tumhaara hai KHushbuon ka ban mera
(1931) Peoples Rate This