Samundar Par Aa BaiThe Magar Kya

samundar par aa baiThe magar kya

nae mulkon mein ban jate hain ghar kya

nae mulkon mein lagta hai naya sab

zamin kya aasman kya aur shajar kya

udhar ke log kya kya sochte hain

idhar baste hain KHwabon ke nagar kya

har ek raste pe chal kar sochte hain

ye rasta ja raha hai apne ghar kya

kabhi raste ye hum se puchhte hain

musafir ho rahe hain dar-ba-dar kya

kabhi socha hai miTTi ke alawa

hamein kahte hain ye diwar-o-dar kya

yahan apne bahut rahte hain lekin

kisi ko bhi kisi ki hai KHabar kya

kise fursat ki in baaton pe soche

mashinon ne kiya hai jaan par kya

mashinon ke ghanere jangalon mein

bhaTakti ruh kya us ka safar kya

yahan ke aadmi hain do ruKHe kyun

mohazzab ho gae hain jaanwar kya

adhure kaam chhoDe ja rahe hain

idhar ko aaenge bar-e-digar kya

ye kis ke ashk hain auj-e-falak tak

koi rota raha hai raat bhar kya

chaman mein har taraf aansu hain 'jawed'

teri haalat ki sab ko hai KHabar kya

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Par Aa BaiThe Magar Kya In English By Famous Poet Abdullah Javed. Samundar Par Aa BaiThe Magar Kya is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Samundar Par Aa BaiThe Magar Kya for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Samundar Par Aa BaiThe Magar Kya in PDF.