Ruh Ko Qalib Ke Andar Jaanna Mushkil Hua
ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua
lafz mein ehsas ko pahchanna mushkil hua
le uDi patte hawa to shaKH-e-gul be-bas hui
phul par sae ki chadar tanna mushkil hua
apne KHalwat-KHana-e-dil se jo nikle to hamein
sab ke gham mein apna gham bhi jaanna mushkil hua
waqt ne jab aaina hum ko dikhaya ro paDe
apni surat aap hi pahchanna mushkil hua
is mashini-ahd mein kya zat kya irfan-e-zat
aadmi ko aadmi gardanana mushkil hua
justuju-e-lal-o-gauhar se bhi baz aae wo log
KHirman-e-KHashak jin se chhanna mushkil hua
dil na chhoTa kijiye na-qadri-e-ahbab par
aib-juyon ko hunar pahchanna mushkil hua
kya karen 'jawed' is bahrupiyon ke daur mein
gul ko gul kanTe ko kanTa manna mushkil hua
(1417) Peoples Rate This