Nange Panw Ki AahaT Thi Ya Narm Hawa Ka Jhonka Tha

nange panw ki aahaT thi ya narm hawa ka jhonka tha

pichhle pahar ke sannaTe mein dil diwana chaunka tha

panchon hawas ki bazm saja kar us ki yaad mein baiThe the

hum se puchho shab-e-judai kab kab patta khaDka tha

aur bhi the us ki mahfil mein baaten sab se hoti thin

sab ki aankh bacha kar us ne hum ko tanha dekha tha

duniya to duniya hi Thahri rang badalti rahti hai

dukh to ye hai dhyan kisi ka ghaTta baDhta saya tha

kaisa shikwa kaisi shikayat dil mein yahi socho 'jawed'

tum hi gae the us ki gali mein wo kab tum tak aaya tha

(1525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nange Panw Ki AahaT Thi Ya Narm Hawa Ka Jhonka Tha In English By Famous Poet Abdullah Javed. Nange Panw Ki AahaT Thi Ya Narm Hawa Ka Jhonka Tha is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Nange Panw Ki AahaT Thi Ya Narm Hawa Ka Jhonka Tha for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Nange Panw Ki AahaT Thi Ya Narm Hawa Ka Jhonka Tha in PDF.