Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e0517123acd4a6437ebf73484c2ce963, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Teri Hi Aawaz Hun Aur Gunj Raha Hun - Abdullah Javed Poetry In English - Darsaal

Main Teri Hi Aawaz Hun Aur Gunj Raha Hun

main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun

ai dost mujhe sun ki main gumbad ki sada hun

jis rah se pahle koi ho kar nahin guzra

us rah pe main naqsh-e-qadam chhoD raha hun

main apne usulon ka garan bar uThae

har waqt hawaon ke muKHalif hi chala hun

be-maya hababo mujhe dekho ki adam se

main su-e-abad sail ki surat mein baha hun

har asr ki taKHliq mein kuchh hath hai mera

main waqt ke zindan mein bhi aazad raha hun

sadiyon se main apne ko banane mein hun masruf

banda hun magar ghaur se dekho to KHuda hun

haalat ki gardish se hirasan nahin 'jawed'

main gardish-e-aflak ki godi mein pala hun

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Teri Hi Aawaz Hun Aur Gunj Raha Hun In English By Famous Poet Abdullah Javed. Main Teri Hi Aawaz Hun Aur Gunj Raha Hun is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Main Teri Hi Aawaz Hun Aur Gunj Raha Hun for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Main Teri Hi Aawaz Hun Aur Gunj Raha Hun in PDF.