Lage Hai Aasman Jaisa Nahin Hai

lage hai aasman jaisa nahin hai

nazar aata hai jo hota nahin hai

tum apne aks mein kya dekhte ho

tumhaara aks bhi tum sa nahin hai

mile jab tum to ye ehsas jaga

ab aage ka safar tanha nahin hai

bahut socha hai hum ne zindagi par

magar lagta hai kuchh socha nahin hai

yahi jaana hai hum ne kuchh na jaana

yahi samjha hai kuchh samjha nahin hai

yaqin ka daera dekha hai kis ne

guman ke daere mein kya nahin hai

yahan to silsile hi silsile hain

koi bhi waqia tanha nahin hai

bandhe hain kaenati bandhanon mein

koi bandhan magar dikhta nahin hai

ho kis nisbat se tum 'jawed' sahab

na hona to hai yan hona nahin hai

(1242) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lage Hai Aasman Jaisa Nahin Hai In English By Famous Poet Abdullah Javed. Lage Hai Aasman Jaisa Nahin Hai is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Lage Hai Aasman Jaisa Nahin Hai for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Lage Hai Aasman Jaisa Nahin Hai in PDF.